Search This Blog

Sunday, 5 July 2009

Jadu Tona

Chupke chupke dekh raha hoon
Tera jadu tona
Subah subah chaand nikalana
Raat ko dhoop ka khilna
Chupke chupke dekh raha hoon
Tera jadu tona
Subah subah chaand nikalana
Raat ko dhoop ka khilna

Tu chaahe mausam badal jaaye
Sargam nahi
Tu chaahe badal ye dhal jaaye
Boondon mein

Bhuli bhatati ek hawa ne
Tere ghar ko aaye
Bhool ke rasta khaamoshi se
Zulf teri suljhaye

Mujhko gawara nahi tujhko chu jaaye
Jhonka bhi
Mere siwa koi ab tere galiyon se
Guzare bhi


Deewaron se dhoop dhale jab
Mujhko yaad tu aaye
Parchai si durr khadi tu
Mere khwaab churaye

Ye soch ke main to baithaa hun
Raahon mein
Shaayad kisi din tu aayegi
Baahon mein

No comments: