Search This Blog

Wednesday, 7 October 2009

Ek Pyaar Ka Nagma Hai

Song: Ek Pyaar Ka Nagma Hai
Movie: Shor
Singer: Lata Mangeshkar & Mukesh

*** Lyrics ***

Ek pyaar ka nagma hai
Maujo ki rawani hai
Ek pyaar ka nagma hai
Maujo ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai
Maujo ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Kuch paa kar khona hai
Kuch kho kar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umar churani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinaara hu
Tu mera sahara hai
Main tera sahara hu
Aaankhon mein samundar hai
Aashaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Toofan to aana hai
Aa kar chale jaana hai
Baadal hai ye kuch pal ka
Chha kar dhal jaana hai
Parchaiyan reh jaati
Reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai

Ek pyaar ka nagma hai
Maujo ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai


*** Video ***

No comments: