Song: Tere baare mein jab socha nahin tha
Album: Saher
Singer: Jagjit Singh
*** Lyrics ***
Tere baare mein jab socha nahin tha
Main tanha tha magar itna nahin tha
Teri tasveer se karta tha baatein
Mere kamre mein aaina nahin tha
Samandar ne mujhe pyaasa hi rakha
Main jab sahera mein tha pyaasa nahin tha
Manane ruthne ke khel mein hum
Bichhad jaayenge ye socha nahin tha
Suna hai band kar li aankhein usne
Kai raaton se wo soya nahin tha
*** Lyrics in Hindi ***
तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
मैं तनहा था मगर इतना नहीं था
तेरी तस्वीर से करता था बातें
मेरे कमरे में आईना नहीं था
समंदर ने मुझे प्यासा ही रखा
मैं जब सहेरा में था प्यासा नहीं था
मनाने रूठने के खेल में हम
बिछड़ जायेंगे ये सोचा नहीं था
सुना है बंद कर ली आंखें उसने
कई रातों से वो सोया नहीं था
*** Video ***
Search This Blog
Monday, 10 August 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment